Friday, January 8, 2010

Makan ki Upari mannzil pe ab koi nahin rehta

Hi friends this is a poem recited by Gulzar Saab at Viswa hindi kavi sammelan
Hope you all like it:

Makan ki upari manzil pe ab koi nahin rehta

Makan ki upari manzil pe aab koi nahin rehta
Woh kamre band hain kabse
jo 24 sidiyan untak pahunchti thi woh ab upar nahin jati
Makan ki upari manzil pe aab koi nahin rehta

Wahan kamroon main itna yaad hai mujko
Khiloone, ek purani tokri main bhar ke rakhe the
Bahut se toh uthane, fekhne, rakhne main churan ho gaye

Wahan ek balcony bhi thi
Jahan ek bayeth ka jhula latakta tha
Mera ek dost tha woh totha
woh roj aata tha usko hari mirch khilata tha
Usi ke samne ek chath thi jahan ek mor baitha aasama pe raat bhar mithe sitare chubta rehta tha-2

Mere bachoon ne who dekha nahin who niche ki manjil par rehta hain-2
Jahan par piano rakha hai purani parsi style ka frazer se kharida tha
Magar kuch basuri awaazain karta hai ke uski ritzs saari hil gaye hain ke suroon par doosre sur chad gaye hain

Usi manzil par ek pustaani baithak thi jahan purkhoon ki tasveerain latakti rehti theen-2
Main seedha karta retha tha hawa phir tedha kar jati

Bahu ko moochoon wale saare purkhe klisaye lagte the
Mere bachoon ne aakhair unhe kiloon se utara
Purane newspaper main unhe mehfooz karke rakh diya tha
Mera ek bhanja le jata hai filmoo main kabhi set par lagata hai
Kiraya milta hai unse-2

Meri ek manjil pe mere samne ek mehmaan khana hai
Mere poote kabhi America se aayain toh rukte hain
Alag size main aate hai who jitni baar aate hai
Khuda jaane wohi aate hain ya haar baar koi doosra /aur aata hai

woh ek kamra, joh peeche ki taraf se band hai
Jahan baati nahin jalti
Wahan ek rosary rakhi hai woh usse mehekta hai
Wahan woh daai rehti thi ke jisne teen bachoon ko bada karne main
apni umr de di thi-2
Mari toh maine dafnaya nahin mehfooz karke rakh diya usko

Ab uske baad ek doo sidhiyaan hai niche tayekhane main jaati hain-2
Jahan khamosi roshan hai, sukoon soya hua hai bas itni si pehloo main jagah rakhkar
Ki jab sidhiyoon se niche awoon toh usi ke pehlu main baloo pe sar rakhkar gale lag jawoon so jawoon

Makaan ke upri manzil per ab koi nahi rehta
Koi nahi rehta

5 comments:

  1. a masterpiece... thnx for sharing it...

    ReplyDelete
  2. Fantastic one.
    You can listen this one from the below link..

    http://www.youtube.com/watch?v=42gJxDWr6_s&NR=1

    ReplyDelete
  3. thnx man..... thnx for sharing....

    ReplyDelete